Dhanteras Puja Vidhi – Complete Guide for Home Puja

Performing Dhanteras Puja at home is considered a spiritual activity, as it brings blessings of and good fortune into one’s life. The puja involves cleaning and decorating the house, lighting diyas to remove negativity, offering prayers to deities, and performing Lakshmi Aarti.. This complete Dhanteras Puja Vidhi guide helps you follow each step correctly—from setting up your puja arranging dhanteras puja items in dhanteras puja kit to chanting the right mantras and aartis—so that you can celebrate this dhanteras puja at home with full devotion.

Dhanteras Puja Vidhi In English (other Languages also Available)

Dhanteras, also known as Dhantrayodashi, marks the beginning of the five-day Diwali festival. It is a day dedicated to worshipping Lord Dhanvantari, Goddess Lakshmi, and Lord Kubera, the gods of wealth and prosperity.

Here’s the Complete Guide of Dhanteras Puja Vidhi Guide: 

🪔 Step 1: Ghar ki Safai aur Shuddhikaran

Items Used: Gangajal, Akshat

  1. Apne ghar, mandir aur pooja sthal ko acche se saaf kijiye.

  2. Thoda Gangajal le kar poore ghar aur pooja sthal par chhidkaav karen.
    👉 Arth: Gangajal se shuddhikaran hota hai aur devtaon ka aamantran hot hai.

  3. Zameen par akshat (chawal) bicha kar ek aasan banaiye jahan aap pooja vastu rakhenge.
    👉 Arth: Akshat akhand samriddhi aur Lakshmi pravesh ka prateek hai.

✨ Optional Fresh Element – Naya Jhaadu Kharidna:
Dhanteras ke din naya jhaadu kharidna bahut shubh maana jata hai.

👉 Arth: Jhaadu ghar se negativity aur daridra ko door karne ka prateek hai. Naye jhaadu ko pehle Lakshmi ji ko arpit karke fir istamal karen.

🌺 Step 2: Devta Sthapna with Supari

Items Used: Supari, Mauli, Janeu, Roli, Chandan**

  1. Apne aasan par 4 supari rakhein:

    • Maa Lakshmi ke liye

    • Kuber Dev ke liye

    • Dhanvantari Bhagwan ke liye

    • Jal tattva ke liye (prakriti ke santulan ke roop mein)

  2. Har supari par roli aur chandan ka tilak lagaiye.

  3. Har ek par mauli lapetkar janeu chadhaiye.
    👉 Arth: Supari ko devta ka prateek mana jata hai; ispar tilak, mauli aur janeu arpan karna pooja mein unke aavahan ka sanket hai.

💫 Step 3: Deep Sthapna aur Akhand Diya

Items Used: Akhand Diya, Ghee, Batti, Matchbox, 5 Deepak Set**

  1. Akhand diya mein ghee daal kar batti lagaiye aur jalaiye — yeh raat bhar jalta rehna chahiye.

  2. Ab 5 deepak aur jalaiye:

    • Lakshmi Deep

    • Kuber Deep

    • Dhanvantari Deep

    • Yam Deep (dwaar par)

    • Dhan Sthaan Deep (locker/tijori ke paas)
      👉 Arth: Deep prakaash aur aishwarya ka prateek hai; Yam Deep ghar ke raksha hetu jalaya jata hai.

🌸 Step 4: Maa Lakshmi Pooja

Items Used: Chandan, Kamal Gatta, Kaudi, Gomti Chakra, Roli

Maa Lakshmi ke prateek supari ke samne chandan, kamal gatta, kaudi, aur gomti chakra chadhaiye.

  1. Roli aur chawal se tilak lagaiye.

  2. Man se prarthna karen:
    “Om Shreem Mahalakshmyai Namah.”
    👉 Arth: Kamal gatta Lakshmi ji ka priya pushp hai, kaudi aur gomti chakra dhan aur raksha pradaan karte hain.

(Optional Additions: Genda ya Kamal ke phool, meetha prasad, sweets agar ho to.)

💰 Step 5: Kuber Ji Pooja

Items Used: Supari (Kuber Dev ke prateek), Roli, Akshat, Mauli, Kuber Yantra**

  1. Kuber Ji ke supari par roli, chawal aur mauli chadhaiye.

  2. Unke samne Kuber Yantra sthapit karein.

  3. Mantra uchcharan karen:
    “Om Yakshaaya Kuberaya Vaishravanaaya Dhana-Dhanyaadhipataye Namah.”
    👉 Arth: Kuber Dev dhan ke rakshak hain; unke aashirwad se ghar mein sthir samriddhi bani rahti hai.

Ghar ke tijori ya locker par tilak aur diya jalakar pooja karen.

🌿 Step 6: Dhanvantari Ji Pooja

Items Used: Haldi ki Gaanth, Supari, Chandan, Mauli**

  1. Dhanvantari Ji ke prateek supari ke samne ek haldi ki gaanth rakhein.

  2. Us gaanth par chandan aur roli lagaiye, aur mauli baandhiye.

  3. Mantra uchcharan karen:
    “Om Namo Bhagavate Vasudevaya Dhanvantaraye Amrita Kalasha Hastaya
    Sarva Bhaya Vinashaya Trailokya Nathaya Shri Mahavishnave Namah.”
    👉 Arth: Dhanvantari Ji Ayurveda ke pratham acharya hain; yeh mantra rog mukti aur swasthya pradaan karta hai.

(Optional Additions: Tulsi patra ya haldi mala agar ho to chadhaiye.)

🌾 Step 7: Dhan aur Ann Ki Pooja

Items Used: Sabud Dhaniya, Kheel, Batashe**

  1. Thoda sabud dhaniya Lakshmi Ji ke samne rakhein aur baad mein apne dhan sva-sthaan par rakhein.
    👉 Arth: Dhaniya dhan aur ann vriddhi ka prateek hai.

  2. Kheel aur batashe bhog ke roop mein chadhaiye aur baad mein prasad baantiye.

🔱 Step 8: Sugandh aur Shanti Arpan

Items Used: Laung, Daalchini

  • Deepak ke paas ek laung aur ek daalchini rakhein ya dhuni dein.
    👉 Arth: Sugandh aur suvas man aur vatavaran ko pavitra banata hai; Laung aur Daalchini shanti aur samriddhi ke prateek hain.

💎 Step 9: Aarti aur Samapan

Items Used: Akhand Diya, Deepak Set, Kuber Yantra

  1. Maa Lakshmi ki aarti “Om Jai Lakshmi Mata” gayen.

  2. Kuber Ji aur Dhanvantari Ji ka mantra yaad karke smaran karen.

  3. Raat bhar akhand diya jalne dein.

  4. Sabko prasad baantiye aur prarthna karen:
    “Sarva Mangala Mangalye Shive Sarvaartha Saadhike,
    Sharanye Tryambake Devi, Narayani Namostute.”

Doston, Dhanteras ki yeh pooja sirf dhan ke liye nahi, balki swasthya aur samriddhi ke liye bhi ki jati hai. Maa Lakshmi se aishwarya, Kuber Dev se sthir samriddhi aur Dhanvantari Ji se aarogya ka aashirvaad mile — isi bhoomi se humari Dhanteras pooja poori hoti hai.

Dhanteras Puja Vidhi guide

To make this festival more accessible, we provide the Dhanteras Puja Vidhi in multiple languages for people across India:

When is Dhanteras 2025?

Dhanteras will be celebrated on Saturday, 18th October 2025.

Dhanteras

Dhanteras Date 2025

18th October 2025, Saturday

Dhanteras Time 2025

Pradosh Kaal Puja Time: 06:58 PM to 08:34 PM

Preparation for Dhanteras Puja Vidhi – Dhanteras Puja Samagri Kit

Before beginning the Dhanteras Puja at home through Dhanteras Puja Samagri Kit, make sure you have these essentials:

  • Red cloth

  • Akshat (rice grains)

  • Gangajal (holy water)

  • Supari (betel nuts)

  • Diya (Akhand Deepak)

  • Ghee

  • Matchbox

  • Batti (cotton wicks)

  • Roli (kumkum)

  • Haldi ki Gaanth (turmeric root)

  • Janeu (3 sacred threads)

  • Mauli (red sacred thread)

  • Chandan (sandalwood paste)

  • Kamal Gatta (lotus seeds)

  • Kaudi (cowrie shells)

  • Gomti Chakra

  • Sabut Dhaniya (whole coriander seeds)

  • Kheel (puffed rice)

  • Batashe (sugar drops)

  • Laung (cloves)

  • Daalchini (cinnamon)

  • 5 Deepak Set

Dhanteras Puja Items

Dhanteras Puja at Home

Performing Dhanteras Puja at home is simple and deeply auspicious.

  • Place idols of Lakshmi and Ganesha on a red cloth.

  • Decorate with flowers and light diyas.

  • Offer sweets, coins, and prayers.

  • Chant Lakshmi Aarti and Dhanvantari mantra.

  • Keep one diya burning overnight for wealth and positivity.

Dhanteras Aarti

Om Jai Lakshmi Mata is the most popular Dhanteras Aarti sung during the puja.

Dhanteras Mantra

Chanting the Dhanteras mantra helps invite prosperity and health into your home:

“Om Hreem Kleem Shreem Dhanvantarye Namah”

Frequently Asked Questions - Dhanteras Puja Vidhi

Dhanteras will be celebrated on 21st October 2025 (Tuesday).

The Pradosh Kaal between 06:58 PM and 08:34 PM is the best time.

People usually buy gold, silver, or new utensils as symbols of prosperity.

Devotees worship Lord Dhanvantari, Goddess Lakshmi, and Lord Kubera.

It marks the beginning of Diwali and the worship of divine wealth, health, and well-being.

Scroll to Top